Wednesday, July 15, 2015

Aap Ki Aankhon Mein Kuch - GHAR

Film : GHAR
Lyrics: Gulzar

Music: RD Burman

Aap ki aankhon mein kuch maheke hue se raaz hai
Aap se bhi khoobsurat aap ke andaaz hai

Lab hile to mogare ke phool khilte hain kahin
Aap ki aankhon mein kya saahil bhi milte hai kahin
Aap ki khaamoshiyaan bhi aap ki aawaaz hai

Aap ki aankhon mein kuch maheke hue se raaz hai
Aap se bhi khoobsurat aap ke andaaz hai
Aap ki aankhon mein kuch maheke hue se raaz hai
Aap ki baaton mein phir koi sharaarat to nahin
Bevaja taarif karna aap ki aadat to nahin
Aap ki badmaashiyon ke yeh naye andaaz hai

Aap ki aankhon mein kuch maheke hue se raaz hai

O, aap se bhi khoobsurat aap ke andaaz hai
Aap ki aankhon mein kuch maheke hue se raaz hai

Tucked in your eyes are some scented secrets
Even more appealing than you is your demeanor

Your quivering lips prompt lilies to blossom in places
Do shores ever meet in the fathoms of your eyes
Taking a voice all their own are your silences

Tucked in your eyes are some scented secrets
Even more appealing than you is your demeanor
Tucked in your eyes are some scented secrets
Is there a truant hidden pray, in your words
not quite a habit of yours, this unnecessary praise
Mischief of yours takes a new demeanor it seems

No comments: