Sunday, October 12, 2014

Woh Shyaam Kuch Ajeeb Thi.....KHAMOSHI

Woh Shyam much ajeeb thi
Lyrics : Gulzaar
Film: Khamoshi


Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai ] 2
Woh shaam kuchh ajeeb thi


Jhuki hui nigaahon mein, kahin mera khayaal tha
Dabi dabi hansi mein ik, haseen saa gulaal tha
Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh -2
Na jaane kyon laga mujhe, ke muskura rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi


Mera khayaal hai abhi jhuki hui nigaah mein
Khuli hui hansi bhi hai, dabi hui si chaah mein
Main janta hoon, mera naam gunguna rahi hai woh
Yahi khayaal hai mujhe, ke saath aa rahi hai woh


Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai
Woh shaam kuchh ajeeb thi


Strange was that evening, as strange as this one,
yesterday seems just as close as today is.
Strange was the evening.


In those bowed looks was hidden a thought of me,
In the curtailed laughs, was a hint of the color rose,
And Here I thought she'd hummed my name,
For no reason at all, I presumed she was all smiles,
Strange was the evening.


I believe in the bowed look is hidden,
A throaty laugh camouflaged by suppressed desires,
I know now for certain, she'd hummed my name,
My belief is she now accompanies me.


Srange was that evening, as strange as this one,
yesterday seems just as close as today is.

Strange was the evening.

No comments: